
Jo utaar ky Seena e Sham cy meri Chasham e Khush mein sama gaey
Wohe Jalty Bhujtey cy mehr o maah merey Baam o Daar ko saja gaey
Ye ajeeb khel hai Ishq ka, mein ne ap dekha ye Moujza
Jo lafz merey Gooman m they, wo teri Zuban pe aa gaey
Wo Chiraage jaan kabhi jis ki loo, na kesi hawa cy nigeen hoey
Teri be Wafaey ky Waswasey usey Chupkey Chupkey boojhaa gaey
Wo tha chand Sham e Wisal ka keh tha Roop terey Jamal ka
Meri Rooh cy meri Ankh taak, kesi Rooshni mein Nahaa gaey
Ye jo Bandgany e naaz haan, ye tamaam haan wohe Laskari
Jinheen Zindagi ne Panaah na di, jo terey Hazoor mein aa gaey
Teri Be Rukhi key Diaar mein, mein Hawa ky sath Hawa howa
Terey Aeney ki Talash ki talash mein, merey Khuwaab Chehre gawa gaey
Terey Waswasoon ki Fishaar mein, tera Sharar e Zindagi ujaar gya
Meri khuwahish ky Gubaar mein, merey Maah o Saal wafa gaey
Meri umaar cy na Mit sakey, merey dil m itney Sawal thy
Terey pas jitney Jawab thy, teri ek Nigaah m aa gaey
Wo jo Geet tum ne sunaa nahi, meri umaar bhaar ka Riaz tha
Meri dard ki thi wo Dastaan, jesey tum hunsi mein Uraa gaey